Thursday, June 2, 2011

Bachpan ka jamana


Bachpan ka jamana hota tha, khushiyon ka khajana hota tha..
Chahat chand ko pane ki, dil titli ka diwana hota tha..

Khabar na thi kuchh subah ki, Na shamo ka thikana hota tha..
Thak har ke school se aana, par khelne bhi jana hota tha..

Dadi ki kahani hoti thi, pariyon ka fasana hota tha..
Barish mein kagaj ki kashti thi, Har mausam suhana hota tha..

har khel mein sathi hote the, har rishta nibhana hota tha..
papa ki wo daant galti par, aur mummy ka manana hota tha..

Gam ki juban na hoti thi, Na jakhmo ka paimana hota tha..
Rone ki wajah na hoti thi, na hasne ka bahan hota tha..

Ab nahi rahi woh zindagi jaisa bachpan ka jamana hota tha..


Related Posts with Thumbnails